Hazrat Ali (R.A ) Beautiful Quotes – Urdu
- Tum Kisi Ko Chaho Or Woh Tumain Thukra Day To Yah Us Ke Bad Nasibi Hai. Or Us K Bad tum us ko Zabardasti Apnana Chaho To Yah Tumheray Nafs Ki Zillat hy.
- Tum Gulab Ka Phool Ban Jao q kay Yah Phool Us Kay Hathoon main bhi KUSHBU chor jata hai jo issay masal k phenk deta hy.
- Din ko rizk ki talash karo or raat ko usay talash karo jo tumhai rizk deta hy
- Yeh zindagi 2 din ki hai 1 din tumharay haq mai aur 1 din tumharay mukhaalif Jis din tumharay haq mai ho us din ghuroor mat kerna aur jis din tumharay mukhaalif ho us din sabr karna.
- Tum acha karo aur zamana bura samjhay , yeh tumharay haq mai behter hai bajaye is k tum bura karo aur zamana tum ko acha samjhay.
- Lambi umeedoon se perhaiz kia karo, kyon k yeh dosri naimtoon ko Tumhari nazar mai haqeer bana deti hain aur tum unki shukar guzari nahi kertay.
- Jub tum dunya ki muflisi se tung aajao aur rizq ka koi rasta na niklay Tu sadqa de ker ALLAH se tijarat karo.
- Apnay dushman ko hazar mouqa do k woh tumara dost ban jaye. LEKIN apna dost ko 1 bhi moqa na do k woh tumara dushman ban jaiy.
- Barish ka Qatra Seepi or Sanp dono kay Munah mein girta hai Jab keh Sanp ussay Zehar bana deta hai aur Seep Usay Moti. Jis ka jaisa “Zarf” waisi Uss ki “Takhleeq”
- Duniya Tumhain Us Waqt Tak Nahi Hara Sakti Jab Tak Tum Khud Se Na Haar Jao.
- Jo Dukh day Us se Taluq na rakho aur jis se Taluq na rakho usay dukh na do.
- Insan Gunah Kerne Ki Waja Se Jahanum Mein Nhi Jata Bal Keh Gunah Per Mutmaen Rehny Aur Tauba Na Krney Ki Waja Se Jahanum Mein Jata Hy.
- Jo tumhain khushi mein yad aaiy, samjho tum us se muhabbat kartey ho or jo tumhain gham mein yad aaiy to samjho woh tum se muhabbat kerta hay
- Acha Dost Kitni Dafa he kyon na rothay usay mana lena chahyay kyon k Tasbeeh k danay kitni dafa he kyon na bikhrein ikathay ker liyay jatay hain
- Koi mumlikat Kufer ke saath to chal sakti hai magar na insaafi ke saath nahi
- Main ne Allah Ko apney iraadon ke totney se pehchana hay
- Jab mere dua qabool hoti hai to mujhe khushi hoti hai ke Allah ne mere dua pori ki. Aur jab mere dua radd hojati hai to mujhey aur bhi zayada khushi hoti hai ke ye mere Allah ki marzi nahi
- Tumhari woh khamoshi jis ke baad tum se baat karney ki khawahish paida ho jaiey, tumharey uss kalam sey behtar hay jis ke baad tum ko khamosh ker diya jaiy.
- Khoobsorati kaproun se nahe ilm o adab se hoti hay
- Her shakhas ki qeemat woh hunar hay jo us ke ander hay
- Woh Gunah jis ka tumhein ranj ho Allah Tala k nazdik us neki se behtar hy ji se tum mein ghuroor paida ho jaiy.
- Ikhtiar, Taqat Aur Dolat Milney Per Log Badaltay Nahi, Balkeh Be-Naqab Hotey Hain
- Dolat Mitti ki tarhan hy aur mitti ko pair k niche rehna chahyay. Agar Sir pe charhao gay to Qabar Ban jaiy gi Aur Qabar zinda Insano k liye Nhe hoti…
- Sab se bari khayanat apni Qaum se Ghaddari hay
- Gunah Jawan ka bhi bad hy magar borhay ka bad tar hay
- Azaadi ki hifazat na kernay wala Ghulami mien griftaar h jata hay
- Insan Dukh nahe detay, Insano se Wabasta Umeedein dukh deti hain
- Agar Tum kisi ko chota dekh rahay ho to ya usay door se dekh rahay ho ya gharoor se
- Jab Tum dunya ki Muflisi se tang aa jao aur Rizaq ka koi rasta na niklay to Sadqa day ker Allah se tajaarat kiya kero.
- Agar Tum Seedhay rastay pe ho aur kisi Mushkil ka samna nahe ker rahay to kuch dair k liyay socho k kahin tum kuch ghalt to nahe ker rahay kyon k seedha rasta to mushkilaat se bhar pur hota hy
- Tabeyat ki Narmi aur Sakhawat, insan ko Dushmnon k dilon main b Mehboob bana deti hai
- AY ALLAH PAK, jab maine tujh se nahi manga tab bhi tu ne mujhe ataa kiya … tou ye kaise mumkin hai k main tujh se mangon or tu ataa na kare
- Agar kisi ka BANNA chatay ho to puri HAQEQAT se ban jao… Warna,apni Zaat mein aisi HAQIQAT peda kar lo k,koi HAQIQAT main tumhara ban jaye.


















aur ya jinho na bhi YA ALI madad likha ha ma bura to nai kahon gi kun k ma nai kehna chahti meri majal hi kya ha k ma itni bari hasti k bare ma kuch kahaon lekin ap sab jo bhi ya kehtae han aisa nai kehna chahiye madad karane wala sirf ALLAH ha so madad bhi us hi mangni chahiye, HAN agar Hazrat Ali ka waseela keh kar madad mango to ek Alag Baaat ha aur guys Lar kun rae ho sab???? Hum Muslmaan ha Allah bhi dekh kar sochta ho ga k jo ma na kaha ha uska ulta hi karna ha inho na???!!!! to please Apni Zubaan ma narmi laien sab agar kisi ko kuch wsamjhana ha to achae andaaz ma samjhaeien nai to ya sare Quotes parhnae k akya faida jab asar kisi pa nai hona………THINK ABOUT IT GUYS PLEASE
YAh right maryam ap ny bilkul such kaha in ko sirf read krna nai smjna b chaheye .
Maryam u absolutly righ own side………….hr aik insan k apne tazkrey hote hyn mai bs itna kehna chaho ga k hm sb muslman hyn din hmra islam h hme iske bare mai achi rae rkhni chahiye daine wali zat sirf khuda wandi h hme sirf ALLAH k wasily se mangna chahiye jis ne hr aik ko paida kia.
salam,ALLAH MADADGAR HY,ALLAH SUB KO BANANY WALA HY,BUT ALI R.A sy mohabbat emman ka hissa hy,kyu k NABI P.B.U.H ki duae ALISHAN hy k YA ALLAH TU USS KA WALI BAN JIS KA WALI ALI R.A ho,
aur farmaya ALI R.A ap sy wo mohabbat karay ga jo momin ho aur wo bughz raky ga jo munafiq ho ga.but we have follow right path,aur baqol hazrat AYESHA R.A k jo ALI R.A ka zikar kary uss ny ibadat ki,ab yahan aik bat jo sacha aashiq hoga wo kabi gali ya ghalat bat ni karay ga blky sabar sy kam ly ga ,munafiqo ko dawat do ya jang kro.ALLAH HUM SUB KO HIDAYAT NASEEB KR DEIN ,AUR AHLEY BAIT KI MUHABBAT SY MALAMAL KR DEIN,AMEEN
nice says maryam …… u r great thinker …………….. GOD BLESS YOU
huzur s.a.w. ne apni ladly baiti hazrat Fatimatuz-zohra radi allah ho anhu se kaha ke Fatima mera nabi hona aapko aakherat me kuchh kaam nahin a-e-ga magar aapko sirf apne aamal hi kaam aa-e-nge.
jab chor ke haath kaat ne kaa hukm aaya us vaqt huzur s.a.w ne kaha ke agar Fatimatuz-zohra r.a.t.a chori karegi to main uske bhi haath kaat dene ka hukm dunga.
is se zaahir hota hai ke huzur s.a.w shirf nek logon ki shafa-at karenge shirf qur-aan aur hadith ke mutabiq zindagi guzaarne main he nijaat he.
hadees parhi ap ny ,MAN KUNTU MOLA WALI <PHLY MERY BHAI PARHO PHR AMMAL KARO
2 moqo par allah k farishtay hansty hain.
1) Jab be parda aurat ko kafan diya jaye
(Jab parday ki zarurat thi tau uss waqt kiya nahi, ab parda kaisa)
2) Jab be namazi ka janaza parha jaye
(Sari zindagi namaz kay qareeb nahin aaya ab kaisi namaz)
Please sab ko batain!
Ho sakta hai k aap ki wajah say koi amal karay.
ye kahan likha plz refrnc
MUhammad jamal ji ye kahe py lika nai hy ye tu aj kl hr ghr mai aisa hota hy neemaz nai bs sab songs sunty hy . ha mai b pr agr hm koshish kary tu in cheezo sy bach skty hy. Aur aj kl tu girlz k kapry toba hy pr shukar hy hm in sy bachy howe hy .
i agreed with u!!!!!!!!!!!!!!!
uski(Allah) ki taraf sab ko vaapas jaana he. yeh Allah ka pakkaa vaada he. Beshak vohi(Allah hi) pahli baar paidaa karta he. aur vohi dusri baar paida kare gaa (yaani qabr se zindaa nikaalega). is li-e jo log imaan laa-e aur nek amal karte rahe unko insaaf ke saath badla de aur jo kaafir hu-e unke li-e aakherat main pine ke li-e ubaltaa huvaa paani aur dukh dene vaala azaab he isli-e ke voh kufr karte th-e
al qur-aan surah yunus aayat no.4
AP sy koi khwabo ki tabeer jnta hy to plz mujy kaheye k nails ka deekna khwab mai iss ki kya tabeer hy.
tabeer to ni pata but ap ny nails ko kis halat m dkha ,tell me at human.rights_activist@yahoo.com i will tell u
ap mai sy koi khwabo ki tabeer janta hy tu plzz mujy kaheye k nails ka deekna or green coular ka . kya tabeer hy.
I think you have seen very nice dream , and i also want to inform you please do not try to share good dreams so openly
hmm. yah ri8 hashim ap ny bilkul such kaha achy khwb iss trha kuly nai batany chaeye blky he khwab . pata loog fir kis trha k tabeer nikaly gy tnk u so much mujy smjany k leye .
Insaan ke apne aamaal uska vaseelaa hain.Insaan ko haqiqat pasand hona chaa-hi-e aur apne aap ko sach baat kehne kaa aadi bana-e. apne zaati mafaad se baalaa-tar ho kar sahih insaaf kar-naa chaahi-e
is se ma-asare ki islaah hogi kisi per zulm nahin hoga. uske namaaz aur roze bargaahe ilaahi me qabool honge. Sach-chi baat kehna aur insaaf ki baat kehna bahut mush-kil kaam he lekin musalmaan ke li-e yeh farz he.
ilm aur amal aur cheez hy ALLAH ka FAZAL aur cheez hy meray bhai
Allah ka fazal haasil karne ke li-e allah taala ke ahqaamat par amal karnaa zaruri he quran sharif ki hidayat par amal karnaa aur seerat e nabvi par amal karnaa.allah taala ki ibadat khulushe dil se karna.allah taala ke bando se qu-aani ahkamaat aur seerat nabvi ki hidayat ke mutabiq pesh aana. iske bagair allah ka fazal haasil nahin ho saktaa. jis insaan par shetaan ka bas chaltaa he us ke bure amal ko uski nazron me khunuma banaa detaa he. agar isi haalat me maut aa gai to aakherat me pachh-taave ke siva kuchh haasil nahin hogaa.
agar aap ke paas rs.100/= hain aur usme se aap rs.10/- Allah ki raah main kharch kar dete hain aur ek aur shakhsh jis ke paas Rs.100000/= hain aur agar voh Allah ki raah main Rs.10000/= kharch karta he tab bhi voh aap ke sawab ki baraabari nahin kar sakta. kiyonke kharch karne ke baad uski jama punji aap se kahin zayada bachti he. ek martaba huzur s.a.w. ne jihaad ke moqe par atiyaat ki darkhaast ki koi sahaaba apne ghar se chothaai jama punji laya koi aadhi jama punji koi ek tehaai (33%).ek sahaaba aise the jin ke ghar main chand khajooron ke alaava kuchh nahin thaa vo bichaare sirf khajoorain laa-e aur darte darte paish ki huzur s.a.w per foran vahi naazil hui ke khajooron ka atiya sab se afzal he yani iska savaab baqi atiyaat se bahut ziyada he.
Well said to ALL Quran e pak mai hai KE ALLAH KE RAASI ko mazboooti se tham loo aur firqee wareeyat mai na padhoo tu bhai kyu lardtye hoo hamara din abb yahye tu nahi rehghaya ke HAzrat ALi R.A KE NAAM ke saath ya kahee YA RASOOL ALLAH KAHee app phele inKE Zindagi mai roshni dHalee ke HAmare PYare Nabi pak (S.A.W) ne 5 arkeehn bathaye hai kia humne ne us pe amal kia hamaree behas ye nahi hotee ke namaz padhye ya nahi aj kisne zaiyda naafil padhee ya tilawat ke hamare bhes un baaton mai hote hai jinka koi wajood he nahi tha unke zindagi mai QURAN E PAK ko hum ba tarjuma padhye aghar tu hamara zehan khoolega aur MAZRAT ke saath imam sabh ke hai kise ik firqee ke nahi hum farz poore karlee nafiloo mai baad mai behas karee aur behas achi baat hai agahr ba elam shiksaat mai hoo ye na hum jaise kaaam aqal apas mai ik dosree per fatwa zahyeer karde shukria padhne ka itne ghoor se ALLAH PAK MUJH SAMEET HAR MUSLMAN KO HIDAYAT DEE AMEEN
qayamat ki nishaanian rivaayat hazrat huzaifaa r.t.a
log namaazain ghaarat karne lagain ge. yaani namaazon ka ahtemaam rukhsat ho ja-ega.
amaanat zaa-ya karne lagenge.yaani jo amaanat in ke paas rakh-khi jaa-e gi us main khayaanat karne lagenge.
sood khane lagange.
jhoot ko halaal samazhne lagenge.yaani jhoot ek fan aur hunner ban jaa-ega
maamuli maamuli baton par khun-rezi karenge. zaraa zaraa si baat par dusre ki jaan le lenge. unchi unchi imaarate banaa-enge. Din bech kar dunya jama-a karange.kataa-a rehmi yaani rishte daaron se bad salooki hogi.insaaf nayaab hojaa-ega. jhoot sach ban jaa-e-ga. Libaas resham kaa pahnaa jaa-ega.Zulm aam ho jaa-ega.Talaaqon ki kashrat hogi. Naagahaani maut aam ho jaa-egi yaani aisi maut jiska pahle se kuchh pataa nahin hoga.
samajh to her insaanko di he allahne.jo sidhi raah pe chalaa voh dunya main khush rahaa. aakherat main bhi kamaaya. jisne apne nafs ki maani aur gunaah kiye dunyaa main dukhi hu-a aur aakherat ko bhi ganvaya.
qayamat ki nishaania rivayat hazrat huzaifa r.a
amaanat daar ko khaa-en samjhaa jaa-e-ga yani amaanat daar per toh-mat lagaai jaa-e gi yeh khayaanati he.
lhoote insaan ko sach-chaa samjhaa jaa e ga. Sachche insaan ko jhoota samjhaa-jaa-e ga toh-mat daraazi aam hogi yaani log dusron per jhooti toh-maten lagaa-en-ge Barish ke baa vajud garmi hogi. Log aulaad ki khawahish karne ke bajaa-e log aulaad se karaahat meh-soos karenge yaani log yeh du-a karenge ke aulaad na ho. Kamine log aish va ishrat ki zindagi basar karenge.
Hazrat Ali ( Karam Ullah Waj Ho ) K Aqwal – MUST READ…
(Surah Al-Rahman 013)Then which of the favours of your Lord will you deny?
Hazrat Ali ( Karam Ullah Waj Ho ) K Aqwal
1-Wo gunah jis ka tumhein ranj ho,
Allah k nazdeeq us nayki se behtar hai
jis se tum main ghuroor paida ho jaye”.
( Hazrat ALI R.A )
———–
2-Kisi ne Hazrat ALI R.A se poocha:
“Dost aur bhai main kya farq hai?”
Aap ne farmaya:
“Bhai sona hai aur dost heera hai.”
Us aadmi ne kaha:
“Aap ne bhai ko kam qeemat aur dost ko qeemti cheez se kyun tashbeeh di?”
To aap ne farmaya:
“Sone main agar darar aa jaye to us ko pighla kar bilkul pehlay jaisa banaya ja sakta hai. Jab ke heeray main aik darar aa jai to wo kabhi bhi pehlay jaisa nahi ban sakta.’
———–
3-Ager kisi ka zarf azmana ho to usko ziada izzat do!
Wo Aala zaraf hoa to ap ko aur izat day ga!
aur kam zarf hoa to khud ko AALA ZARAF sumjhey ga!
( Hazrat ALI R.A )
———–
4-Hazrat ALI R.A Ka Farman Hay:-
“Bura Dost Koely Ki Manind Hay”
“Agr Jalta Hoga To Apko Jala Dega”
“Aur Agr Bujha Hoga To Ap K Hath Kale Kr Dega”
———–
5-Aazmaye Hue Ko Azmana
Bewakufi He.
( Hazrat ALI R.A )
Logon Ki
Zaroraton Ka
Tum Se Wabasta
Hona Tum Per
Allah Ki
Enayat Hain!.
(Imam Hussain R.A)
———–
———–
7-Hazrat ALI R.A SAYS
TUMHARE 3 DOST HAIN
1 TUMHARA DOST
2 TUMHARAY DOST KA DOST
3 TUMHARAY DUSHMAN KA DUSHMAN
TUMHARAY 3 DUSHMAN HAIN
1 TUMHARA DUSHMAN
2 TUMHARAY DUSHMAN KA DOST
3 TUMHARAY DOST KA DUSHMAN
———–
8-Hazrat ALI R.A ne eid k din ro ro k bura haal kar liya.Naye kapre na pehne aur sookhi
roti khane lagey. Kisi ne poocha k aaj to EID hai aap ne koi tayyari nahi ki. Aap ne farmaya k
eid to unki hai jinko ALLAH SUBHAN-A-HU- WA TAALA ne muaf kar dia
———–
9-Hazrat ALI R.A Says
Apne Dushman Ko 1000 Dafa Moqa Do K Wo Tumhara Dost Ban Jaaye
Per Apne Dost Ko 1 Bhi Moqa Na Do K Wo Tumhara Dushman Banay
———–
10-Jub meri DUA kabol ho tu mein khush hota houn
k is main meri marzi hai aur
Jub kabol na ho tu mein aur khush hota houn
k ye ALLAh ki marzi hai
( Hazrat ALI R.A )
———–
11-IKHTIYAR, TAAQAT aur DOULAT
aisi cheezain hain jin k milnay say log
badaltay nahin BAYNAQAB hotay hain( Hazrat ALI R.A )
———–
12-Agar tum kisi ko chota dekh rahe ho,
to tum use door se dekh rahe ho!
Ya phir gharoor se dekh rahe ho!
( Hazrat ALI R.A )
———–
Ghareeb wo hai jis ka koi dost na ho!.
[HAZRAT ALI (RA)]
———–
sab se bara gunah wo he jo karne walay ki nazar me chota ho!
( Hazrat ALI R.A )
———–
Mujhe Jannat se ziada
Masjid mein bethna Acha Lagta hai
kyunke
Jannat mein mera NAFS khush ho ga
jab ke Masjid mein mera RAB khush ho ga.
Hazrat ALI R.A
———–
Main Jannat K Shouq Main ebadat Nahe Kerta,
K Ye Ebadat Nahe Tijarat Hay!
Main Dozakh K Khouf Say Ebadat Nahe Kerta,
K ye Ebadat Nahe.Ghulami Hai!.
Main Ebadat Sirf Is Liye Kerta hon…
K Mera RuB ebadat K LayeQ Hai…… ( Hazrat ALI R.A )
———–
Aik Shakhs Ne Hazrat ALI R.A Sey Poocha,
Q: Qharib Kya Hai?
A: Qyamat
Q: Or Qhareeb Ter?
A: Maut
Q: Ajeeb Kya HAi?
A: Duniya
Q: Aur Ajeeb Tar?
A: Talib-e-Duniya
Q: Wajib Kya Hai?
A; Toba
Q: Or Wajib Tar?
A: Gunah K Forun Bad Toba
Q: Mushkil Kya Hai?
A: Qaber Mein Utrna
Q: Our Mushkil Tar?
A: Amal K Bagair Utrna
———–
Rizwan Aslaam-u-Alaikum aap ne jo bhi likha woh sab meine parha num7 pe jo ap ne likha woh boht acha laga dill kiya to ap se keh diya.Baqi Allah khafiz
Agar tum usey na pa sakoo jisey tum chahty ho
To use zaror pa laina jo tumhey chahta hey
Kiyon k chahny se, Chahy jany ka Ehsas Ziyada Khoobsurat hey.
(HAZRAT ALI)
salam,subhanallah,plz send me HAZRAT ALI R.A quotes at my face book,givemesmile.forever@yahoo.com
qayaamat ki nishaaniyan rivayat hazrat huzaifa r.a.
Sharifon(sharif insan) kaa naak main dam ho ja-e-ga yaani sharif log sharaafat le kar be-thain-ge to dunyaa se kat jaa-enge. Amir aur vazir jhoot ke aadi ban ja-enge Amin khayaanat karne lagenge Sardaar zulm peshaa honge Aalim aur kaari bad kirdaar honge.yaani aalim bhi hain aur qur-aan ki tilaavat bhi kar rahe hain magar bad kirdaar hain.Log jaanvaron ki khaalon ka libaas peh-ne-ge.Log jaan-varon ki khaalon se bane aala darje ke libaas peh ne ge lekin in ke dil murdaar se bhi ziyaadaa badboo-dar honge.aur elve se bhi ziyaadaa kadve honge. sona(gold) aam ho jaa-e-gaa. chandi ki maang bad-h jaa-e-gi Gunaah ziyaada ho jaa-enge amn kam ho jaa-enga Qur-aan karim ke nus-khon ko aaraashta kiyaa jaa-e-gaa.
ummer and mariam aap dono mulana kis bhes main par gay ho aap apnay baray main kiya jantay jo in jaisi pak hastion kay baray bat ker rahay ho
oh true yrrrrrrrr
m a muslim thanks god but i have comited much sins plz pray for me so that i may come on right path
Sabiha sis shayed ap ny glti sy aisa lika hoga (god) bt plzz ayenda sy deehan rkna aisa likna gunah hy (GOD) aisy lika karo M sorry agr bura lga tu . Allah hafiz
Yeh dunyaa ek imtehaan he ek aaz-maa-ish he. jis ne kaam-yaab honaa he voh qur-aan ke ah-qaamaat aur huzur s.a.w. ki seerat ke mutabiq zindagi guzaar ni hogi. Huzur s.a.w ne khud qur-aani ah-qaa-maat ke mutaabiq zindagi guzaari aur voh seerat qa-im ki ke jis se ma-a-sare me bahut islaah hui mazloomo ne sukh ka saans liya aur huq aur insaaf ki bol-baala hui. Insaaniyat ki voh mazboot bunyaad qaim hui ke badshah aur faqir insaaf ke ma-aa-mle me yakshaan samjhe gaye.aapne agar aakherat main kaam-yaab hona he to aapko qur-aan aur huzur s.a.w ki seerat ke mutaabiq zindagi guzaarni he. apne dunyavi faa-ede ke li-e jhoot bolaa ya kisi per zulm kiyaa ya kisi ke saath naa insaafi ki to yeh gunaah aapki namaaz, rozaa aur dusri ibaadat ko fasiq kar denge.Hazrat imaam hussain r.a ne bhi sach-cha-i par qa-im rehte hu-e aur apne naanaa ki seerat par amal karte hu-e shaheed ho ga-e lekin zaalim ke haath per bai-at nahin ki. qayaamat ke roz jin ke aamal achh-chhe honge huzur s.a.w. sirf un logon ki shifaa-at karange. Huzur s.a.w ne apni laadli baiti Fatima-tuz-zohra se bhi kahaa thaa ke meraa nabi honaa aapko aakherat main kuchh kaam nahin aa-e-ga aapko sirf apne aamaal kaam aa-en-ge. e musalmaano apne achhe aamaal ko hi apnaa vasilaa aur bakh-shish ka sabab samjho taaqe aap ek bade nuqsaan se bach jaa-o
Dear Sabiha – koi gunah allah ki magfirat aur rahimi se bada nahin hota aur jis gunah ka ranj ho woh khudmein ek badlaw hai jo Allah humse chahata hai. kisi zaroorat mand ke kaam ajao gunahon ka bhoj inshahallah utar jayega. Allah tumhari aur tamam kaume muslim ki gunah se tauba ki hehayat de aur kabool karen. Ameen Summa Ameeen!
yr mai bas itna kahuga k v all r muslims
aur har musalman dusray musalman ka bhai h..humy in fiqho k maslay mai nahi parna chahye
4 din ki zindagi h acha amal,ikhlaq,namaz,roza,parhezgar ban kr islam k mutabiq zindagi guzary..
aur waisay b asal zindagi ye dunya nahi h ye sab khatam hojane wali cheezey hain..
balky asal zindagi akhrat h jo hamary amal par base kr rahi h…
so plz apne amal ko kal se behtar krey Allah k kamo mai lagjae..
Allah ap k kam kardega..
e muslmano aap shirk se bachain. yeh bahut bada gunaah he shirk karne wale ki bakh-shish hi nahin. yeh gunah Allah Ta-ala kabhi ma-af nahin karega. her muslmaan ko qur-aan tarjume ke saath pad-hanaa chaahi-e taake aap ko sahih deen ki samajh aa-ja-e.aur Hadith ki mo-a-tabar kitabon ka mutaalaa karna chahi-e jo sahih rivaayaton ke saath likh-khi ga-i hon.her insaan ko allah ta-aalaa ne aqle saleem ataa ki he. agar aap aalimon ki taqreer sunege to aap ach-chhe aalim ko jaan jaa-enge. Qur-aan sharif ko sahih tarjume ke saath aur hadith ki sahih kitaabon ka mutaala karange to deen ki sahih samajh aa jaa-egi.dunyavi maamlaat main diyaanat dari haqiqat pasandi aur insaaf se kaam lenge to allah aap ko apni raahen bataa degaa.yani sahih raasta bataa degaa. kisi par zulm karna, na insaafi karna yeh aise gunaah hain jab taq mazloom maaf nahin karegaa ma-af nahin honge. ujrat kam dena bhi bahut bada gunaah he. din to sirf islaam hi he hamne islaam ko 73 firqon main baat diyaa he sahih firqe ki pah-chaan aapne khudne karni he. is ke li-e tahqeeq bahut zaruri he. dunyavi zaruri kaamon se faarig ho kar din ki taraf tawajjah denge to bahut faa-eda hoga.huzur s.a.w ne gurub aaftaab ke baad dunyavi kaamo se bachne ki hidaayat ki he. lehaaza gurube aaftaab ke baad gair zaruri dunyavi kamonse bachain aur din ki taraf tawajjah dein. tlu-e aaftab se pehle bhi gair zaruri dunyavi kaamon se parhez karain aur dini kaam karain.
Sach-cha musalman honaa bahut mushkil kaam he. Jisko apne nafs per qaabu ho vahi sach-cha musalman ban sakta he.jis sakh-sh ke akhlaaq achh-e ho, raham dil ho. sakhi ho sach bolne wala ho jhoot se parhez karne wala ho insaaf karne wala ho. apne aap ko kabira aur sagira gunah se bachaa-e.
roze, namaaz ka paband ho. shirk karne waalaa na ho.qur-an aur hadith ke mutabiq zindagi guzaarne walaa ho.aisaa sakh-sh ke aakherat main kaaam-yaab hone kea bahut im-kaan he. jis ke rava-yye main khulush ho aur ibaadat main khulush ho uski bhi aakherat main bahut qadr hogi.
hi umar salam
yes dear aap sahi ho sub
dear all friends behas mat karo aaps main
aisaa kon he jo uski(allah ki) ejaazat ke bagair uske(allah ke) paas kisi kisi ki sifaarish kare.
is se to yeh zaahir hota he ke sifaarish uski hogi jiski sifaarish allah chaahega.
surah baqara part of aayat 255.
aur allah ne aasmaan main se paani barsaayaa phir us paani se sukhi hu-i zamin ko zindaa kardiyaa beshaq usme un logon ke li-e badi nishaani he jo baat sunte hain.beshak aap logon ke li-e jaan-waron main bhi bada sabaq he aur inke pet main gobar aur lahu he inke darmiyaan se khalish dudh pilaate hain jo pine waalon ke li-e bahut maze-daar he.khajoor ke darakht aur angoor ki belon mese bhi ek chiz aapko pilaa te hain jise tum nasha avar bhi banaa lete ho aur khalish khuraak bhi. isme un logon ke li-e badi nishaani he jo aqal se kaam lete hain.
surah nahal ayat 65-67
Jo Tumhain Khushi Ke Mauqe Par Yaad Aye
Samjah Lo Tum us se Mohabbat Karte Ho
Aur Jo Tumhain Gham ki Shiddat Mai Yaad Aye
To Samajh Lo Wo Tum Se Mohabbat Karta Hai
Ya ali subhaan allaha
ae imaan walo koi faasik aap logon ke paas koi khabar le kar aa-e to achhi tarah jaanch karlo take aisa na hoke anjaane me aap kisi quom ko nuqsaan pahunchaa de iske baad apne kiye par pachhtani lago aur jaan loke aap logon me allah ka rasul maujud he agar voh bahut se baton me aap ki baat maan le to fir aap khud pareshani me aaja-o ge lekin allah ne aap logon ko imaan ki muhabbat di he aur is ko aap ka man pasand banaa diya he aur kufr gunaah aur naa farmaani se aap logon me naf-rat peda kar di he aise log hi sahih raaste per hain. al quran surah hujrat ayat 6 aur 7
Geo to Ali a.s ki tarha.
Maro to shaheed-e-karbala ki tarha
live like ALI ,,,,die like HUSSAIN…….
YA ALI…….YA HUSSAIN…………….:)
maine jab bhi unhey pukara hai……
ek awaaz aye k tu hamara hai……..
uper maine surah hujrat ayaat 6 aur 7 ka tarjumaa bayaan kiya is me allah taala ne insaan ko kufr se aur gunaah se bachne ki aur allah ki naa-farmaani se bachne ki takid ki he agar koi gunaah ho jaa-e to sacche dil se tauba karo alaah bada gafooro rahim he lekin taubaa sacche dil se karo aur phir apne ahad ko nibhaav. apne nafs per qaboo rakh-kho taake baar baar tauba se bach jaa-o.jitnaa aapka imaan mazboot hogaa utne aap baa akhlaaq honge ki-yonke imaan ek darakht ki tarah he jiski buland tareen shakh akhlaaq ki he. hazrat muhammad s.a.w ahle bait aur sahaba e kiraam buland akh-laaq ke maalik the. aapne apni zindagi unhi ki tarah guzaarni he aakherat me bukh-shish ke li-e. apni baqiya zindagi me sangida ho jaa-en aur sangidagi se koshi kare-nge to allah aapko kaamyaab karega aur sach-cha raasta dikhaa-ega aap farhat mehsoos karenge aapki zindagi khush gawaar ho jaa-e gi allah ki taraf se gunaah se bach-ne ke ishaare milenge din raat aapka dil allah ki yaad me lagaa rahega chaahe aap zaroori dunyaavi kaam hi kar rahe ho.
13Rajjab Viladat Yome Ali aap sabi ko bahut bahut mubarak.
aur koi cheez naap kar do to pura naap kar do aur jab wazan karo to sahih taraazu se vazan karo ye umdaa tariqaa he aur natije me bhi behtar he jis baat ki aapko khabar na ho uske pichh-e na jaa-o be-shaq kaan aur aankh aur dil in sab ki puchh parachh hogi aur zamin par itraa ke mat chal be shaq tu zamin me daraare nahin daal sakegaa aur tu pahaadon ki unchaa-i par pahonch nahin paa-egaa in sab baaton ki buraa-i tere rab kinazdik bahut naa panand he ae nabi yeh baatain hikmat ki baaton me se he jinko tere rab ne teri taraf wahi ki maar-fat bhejaa he
June,5.06.2012 ko jo mene irsaal kiya thaa iske aage likhta hun e insaano allah ke siva kisi aur ko maabud na bana-o varnaa zillat ke saath dhakke maar kar jahan-nam me daal diye jaa-o ge.
alqur -an surah al asara ayat 35-36 para 15
is aayaat me allah ne naap tol me pura dene ki hidayat ki he is par amal kaein taake yeh aapke li-e neki kamaane ka sabab bane quraan ka mutaala karein aur is per sakhti se amal karenge to allh ki baargaah me maqbooli-at hasil hogi.huzur s.a.w ki seerat per bhi amal karenge to allah aap par mehbaan hoga aur such-cha rasta bata-ega. voh kaam mat karnaa jo shari-at me nahin he varna shetaan aapke ger sharai amal ko khush-numaa banaa dega. kanin esaa na ho ke gaflaat me isi tarah zindagi guzaar de aur aakherat me aapko pachh taave ke siva kuchh haasil na ho. lehaaza apnaa tajziyaa kare aur shirf sahih seerat par amal karein.
e muslamano allah ki rassi ko mazbooti se thaamo yaane Qur-aan ke ah-kamaat ke mutaabiq zindage guzzaaro. Sach-chaai per sabit Qadam raho (hazrat imam hussain r.a ki tarah ) apne zaati mafaad ke li-e jhoot mat bolo. sab ke saath insaaf se pesh aa-o. kisi par zulm mat karo. Naap tol pura karo. apne maal ka aib (kharabi) mat chhupaa-o yatim ka maal na-jaa-ez tariqe se mat khaa-o. zinnaa se bacho. kisike haquq paamal mat karo.aurton ke ma-a-maleme allah se daro.
kisiki amaanat me khayaanat mat karo.in ahqaamaat par amal karne se ma-a-sare ki islaah hoti he akhlaaqi kharabi peda nahin hoti. yeh din ke satoon hain inhe mazboot karo(shari-at par amal karke). koi ger shara-i kam mat karo verna shetaan aapke us bure amal ko aap ki nazron me ach-chha kar dega.aur aap mot aane tak gaflat me rahain. aur mot ke baad pachh-tave ke sivaa kuchh hasil na ho.
Dunya mai kabi kise k leye nai Rona mairy dosto “Q k wo tumhary ansoo k Qabil he nai hoga; Aur jo iss Qabil hoga Wo ap ko kabi Rony he nai Dega):-
Humna spoke beautiful quotes
Ek baat hameshaa yaad rakhna kisiko dhoka na denaa. Dhoke me badi jaan hoti he yeh kabhi nahi marta ghoom kar ek din vaapas aapke paas hi pahonch jaata he kiyonke usko apne thikaane se muhabbat hoti he.
Nice); nd tnkxx
true
Apny ansoo ko itna mehanga kr do k koi issy khreedny ki koshish na kary or apny muskurahat ko itna sasta kr do k hr koi issy panny ki chahat raky; ( so frndzz Any tyme Keep Smile GoD bless u Guyss(:
mery bhaio or Behno ap sb ki boht achi baten hen par is poory discassion may hum ny sikha kia sivaey Arguments k?
Agr humy un say waqi sachi aqeedat or Mohbbat hey too kio na hum un ki bato par amal karen jesa wo apny Nabi ki ummat ko dekhna chaty they kio na hum apney ap ko wesa bna len kio kia khayal hey????
Moni said well hum apne aap ko itnaa ach-chha banaa lain ke inki muridi haasil hojaa-e to fir aakherat main kaamyaabi he. Jin raaste per muhammad s.a.w aur ahle bait aur sahaba e kiraam chale the unki pairvi karain to dunya me bhi aasaani he aur aakherat me bhi kaamyaabi. lekin hum log to voh karte hain jo unhone nahin kiyaa aur shetaan hamaare is ger shara-i amal ko hamaari nazron me khub-surat kardeta he aur isi tarah agar umr bit gai aur mot aa gai to fir aakherat me pachh-tawe ke siva kuchh haasil nahi hogaa.agar hum sangidaa ho jain aur apnaa taj-ziya karke apne aap ko durast karain yani qur-aan aur sirate nabvi ke mutaabiq zindagi guzaarain to dunyaa me aasani aur aakherat main kamyaab honge. apne ko zaalim na banaae. insaaf se kaam lain khudgarzi se bachain apne mafaad ke li-e jhoot na bole kisi ki haq talfi na karain hasad na kare gurur bhi naa kare ger shara-i kaam chhod de allah tala khud hi apne raste aapko dekhaa-e-ga.
I agree but Umar shab ye sab karny k liey humy sab sy pehly apny nafss ki ghulami chorni pady gi jo k is dunia ka sab say mushkil kam smajha jata hey jo k itna muskhil hey nai.
Yah…Moni sis u Right………
i agreed with u
kisi pr aitmad na kro , jb tk usy ghussy mein na daikh lo
Dam Dam Sakhi Sarkar Qalandar Mast ………………………………………………………………………………..
Ali (as) Moula ..Madad .
Ae Dushman -e- Shabbir (as) teray Peeeeer pe Lanat …………… Beshumaaaaaaaaaaaar
wasta munkeran e Ali (as) se na rakh … warna perooo se dharti nikal jaegi ..
Mairy pyary Musalman bhai behno k leye ek pyari se Dua…… Ya ALLAH aise zindagi dy ek hath mai Quraan ho .. Dosry mai tere Nabi (S.W.A) ka farman ho…..Dil mai Sahaba karaam o ahlybeet ki kadr.o Sahan ho…Waqt Moot ya saaman ho …Nikalti jann ho….Hamare zuban ho….Tera Quraan ho….Tery Mahboob (S.W>A) ki rozy ki taraf deehan ho..YA ALLAH jb waqt moot Kareeeb ho… Naqsha ajeeb ho Samny roza habeeb (S.W>A) hoo….zuban pr Kalma taiba ho…LA ILAha ILAL LAh MUhammadur RasuLiLAh naseeb ho..((.Ameen )) SOrry guyzz Agr KALmy mai kuch GLti howe tu MAff krna >>
Subhan Allaha!!!!!!!!!!!!
Imaan ek darakht ki tarah he aur achhe akhlaq iski baland tarin shaakh he. jeke akhlaaq achhe hote hain voh bahut narm dil tabi-at kaa maalik hota he. voh kisi se kabhi khafaa nahin hota. koi us se dushmani kare to us se alag aur dur rehne lagta he. koi us par zulm kare to badlaa nahin letaa agar che vooh badla lene ki taqat rakhtaa ho. kisi se hasad nahin kartaa Gurur ke to nazdiq nahin jaata. allah taala ki ibaadat khuluse dil se kartaa he allah ki rah me bahut kharch kartaa he yeh to aap jaante he ke khulus se ki hui ibaadat allah taala ke han bahut maqbool hoti he aur jo insaan kisi per zulm nahin kartaa bure waqt me kaam aata he insaaf karne walaa he nnap tol puraa dene walaa he khud garz nahin he sach-chai per sabit qadam rehta he allah taala ke han aise bande bahut maqbool hote hain. yahi seerat nabvi kaa kuchh hissa he jin per ahle bait aur sahaabaa chale
Jahan roti mazdoor ki tan-khah se mahengi ho jaa-e vahaan do cheeze sasti ho jaati he Aurat ki izzat aur mard ki gay-rat.
Sultaan Sala-huddin Ayyubi.
Yaa allah mujhe itnaa bahaadur aur jari banaa de ke mujhe hazrat ali k.w. ki muridi haasil ho jaa-e.
Yaa allah mujhe itni aqal aur samajh ataa kar ke hazrat ali k.w. ki muridi haasil ho jaa-e.
Yaa allah mujhe dine islaam ki itni samajh ataa kar ke mujhe hazrat ali k.w. ki muridi haasil ho jaa-e. Yaa allah mujhe itna sabr aur tahammul ataa farmaa ke mujhe hazrat imam hussain r.a. ki muridi hasil ho jaa-e. Yaa allah mujhe jihaad ke jazbe se itnaa sarsaar karde ke mujhe hazrat khalid bin valid r.a. ki muridi haasil ho jaa-e. Yaa allah mujhe nazar ki itni paakizgi ataa farmaa ke mujhe hazrat qais a. his salaam ki muridi haasil hojaa-e. Yaa allah mere imaan ko itnaa pukhtaa kar ke aakherat me meri bakh-shish ho jaa-e. Yaa allah taa hayaat mujhe pukhtaa imaan par qa-im rakh aur mujhe aisi shahaadat de jo teri baargaah me bahut maqbool hoaur jo mere bakh-shish ka sabab ban jaa-e. Yaa allah mujhe tawakkal allah aur khud-darana zindagi guzaarne ki samajh atta farmaa. Yaa allah mujhe dunya aur dunya walon se be niaz karde. Mujhe sirf teri hi moh-taaji ataa farmaa. Mujhe kisi insaan ki jaani aur maali mohtaaji se bachaa.
sab se bada raaz maut he
sab se badi bahaaduri sabr he
sab se badi balaa na- ummidi he
sab se badi tafrih mas-ru-fiat he
sab se bada ustaad taj-ruba he
sab se badaa faa-eda nek aulaad he
sab se badaa toh-fa dar guzar he
sab se badaa sarmaaya khud et-maadi he.
perhaps quotes from hazrat ali r.a
hazrat ali ne bayaan kiyaa he ke nabi akram s.a.w ne farmaaya mujh par jhoot na bandho kiyonke jo mujh par jhoot bandh-ta he voh aag me daakhil hogaa
Bukhari sharif page 33
shukr nemat husule nemat kaa baa-as he aur naa shukri husule zehmat kaa baa-as he
zamane ke pal pal ke under aafaat poshidaa he
faasik ki buraa-i karnaa gibat nahin
Gunaahon par naadim honaa inko mitaa detaa he aur nekiyon per mag-roor hona inko barbaad kar detaa he
Maut ek be khabar saathi he.
sakhaa-vat ke saath ahsaan rakhnaa nehaayat kamingi he
Tabi-at ki narmi aur sakhaavat insaan ko dush-mano ke dilon me mahboob banaa deti he.
Quotes Hazrat Ali